Dahi k Hairat Angaiz Fawaid / Health tips in Urdu
Dahi aik mukamal ghaza hay aur kalshiam say bharpoor hoti hay. Dahi Insani sehat (health) k leye bohat aham hay aur is say hadion (bons) ko taqviat milti hay. Is main proteen bhi kasrat say pahi jati hain. Yeh khana jald hazam karnay main bhi bohat mufeed hay.
Dahi jisam k zareelay mawad ko finish karta hay aur jisam ko taqviat ponchata hay. Dahi ko nahatay waqat sar par laga kar ap khushki say najat hasil kar saktay hain. Dahi main bohat ziada wataman pae jatay hain jo insani sehat k leye bohat mofeed hain.


Post a Comment